na haara hai ishq aur na duniya thaki hai
na haarā hai ishq aur na duniyā thakī hai
diyā jal rahā hai havā chal rahī hai
sukūñ hī sukūñ hai ḳhushī hī ḳhushī hai
tirā ġham salāmat mujhe kyā kamī hai
khaTak gudgudī kā mazā de rahī hai
jise ishq kahte haiñ shāyad yahī hai
vo maujūd haiñ aur un kī kamī hai
mohabbat bhī tanhā.ī-e-dā.imī hai
charāġhoñ ke badle makāñ jal rahe haiñ
nayā hai zamāna na.ī raushnī hai
are o jafāoñ pe chup rahne vaalo
ḳhamoshī jafāoñ kī tā.īd bhī hai
mire rāhbar mujh ko gumrāh kar de
sunā hai ki manzil qarīb aa ga.ī hai
'ḳhumār'-e-balā-nosh tū aur tauba
tujhe zāhidoñ kī nazar lag ga.ī hai
na haara hai ishq aur na duniya thaki hai
diya jal raha hai hawa chal rahi hai
sukun hi sukun hai KHushi hi KHushi hai
tera gham salamat mujhe kya kami hai
khaTak gudgudi ka maza de rahi hai
jise ishq kahte hain shayad yahi hai
wo maujud hain aur un ki kami hai
mohabbat bhi tanhai-e-daimi hai
charaghon ke badle makan jal rahe hain
naya hai zamana nai raushni hai
are o jafaon pe chup rahne walo
KHamoshi jafaon ki taid bhi hai
mere rahbar mujh ko gumrah kar de
suna hai ki manzil qarib aa gai hai
'KHumar'-e-bala-nosh tu aur tauba
tujhe zahidon ki nazar lag gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.