na puchh marg-e-shanasai ka sabab kya hai
na pūchh marg-e-shanāsā.ī kā sabab kyā hai
kabhī hameñ thā ta.alluq sabhoñ se ab kyā hai
jahāñ sukūt musallat hai dam-ba-ḳhud hai hayāt
vahīñ se shor-e-qayāmat uThe ajab kyā hai
jo zehn hī meñ siyāhī uñDel de sūraj
to phir tamīz kise sub.h kyā hai shab kyā hai
janm diyā hai dukhoñ ne ġhamoñ ne paalā hai
ḳhudā se pūchhiye merā hasab-nasab kyā hai
vo zahr-e-ḳhand jo ghole haiñ chashm o lab ne tire
tujhe ḳhushī ho to pūchheñ ki zer-e-lab kyā hai
uThe haiñ haath to apne karam kī laaj bachā
vagarna merī duā kyā mirī talab kyā hai
na puchh marg-e-shanasai ka sabab kya hai
kabhi hamein tha talluq sabhon se ab kya hai
jahan sukut musallat hai dam-ba-KHud hai hayat
wahin se shor-e-qayamat uThe ajab kya hai
jo zehn hi mein siyahi unDel de suraj
to phir tamiz kise subh kya hai shab kya hai
janm diya hai dukhon ne ghamon ne pala hai
KHuda se puchhiye mera hasab-nasab kya hai
wo zahr-e-KHand jo ghole hain chashm o lab ne tere
tujhe KHushi ho to puchhen ki zer-e-lab kya hai
uThe hain hath to apne karam ki laj bacha
wagarna meri dua kya meri talab kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.