Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nadim bagh mein josh-e-numu ki baat na kar

Akhtar Ansari Akbarabadi

nadim bagh mein josh-e-numu ki baat na kar

Akhtar Ansari Akbarabadi

MORE BYAkhtar Ansari Akbarabadi

    nadīm baaġh meñ josh-e-numū baat na kar

    bahār aa to ga.ī rañg-o-bū baat na kar

    ajiib bhūl-bhulayyāñ hai shāhrāh-e-hayat

    bhaTakne vaale yahāñ justujū baat na kar

    tabāh kar na mazāq-e-junūñ ḳhuddārī

    dil-e-tabāh kisī tund-ḳhū baat na kar

    ḳhud apne tarz-e-amal ko sañvār aur sañvār

    mire rafīq tarīq-e-adū baat na kar

    gurez-e-husn ko andāz-e-husn kahte haiñ

    nazar se dekh magar ḳhūb-rū baat na kar

    ye barq-e-husn jalātī to hai magar nāseh

    vo aur shai hai mire sho.ala-ḳhū baat na kar

    ye mai-kade fazā kah rahī hai ai 'aḳhtar'

    ki tishnagī meñ bhī jām-o-subū baat na kar

    nadim bagh mein josh-e-numu ki baat na kar

    bahaar aa to gai rang-o-bu ki baat na kar

    ajib bhul-bhulayyan hai shahrah-e-hayat

    bhaTakne wale yahan justuju ki baat na kar

    tabah kar na mazaq-e-junun ki KHuddari

    dil-e-tabah kisi tund-KHu ki baat na kar

    KHud apne tarz-e-amal ko sanwar aur sanwar

    mere rafiq tariq-e-adu ki baat na kar

    gurez-e-husn ko andaz-e-husn kahte hain

    nazar se dekh magar KHub-ru ki baat na kar

    ye barq-e-husn jalati to hai magar naseh

    wo aur shai hai mere shoala-KHu ki baat na kar

    ye mai-kade ki faza kah rahi hai ai 'aKHtar'

    ki tishnagi mein bhi jam-o-subu ki baat na kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now