nahin hai ab koi rasta nahin hai
nahīñ hai ab koī rasta nahīñ hai
koī juz aap ke apnā nahīñ hai
har ik raste kā patthar pūchhtā hai
tujhe kyā kuchh bhī ab dikhtā nahīñ hai
ajab hai raushnī tārīkiyoñ sī
ki maiñ huuñ aur mirā saayā nahīñ hai
parastish kī hai merī dhaḌkanoñ ne
tujhe maiñ ne faqat chāhā nahīñ hai
maiñ shāyad tere dukh meñ mar gayā huuñ
ki ab siine meñ kuchh dukhtā nahīñ hai
luTā dī maut bhī qadmoñ pe tere
bachā kar tujh se kuchh rakkhā nahīñ hai
qayāmat hai yahī idrāk-e-jānāñ
maiñ us kā huuñ ki jo merā nahīñ hai
mirī bāteñ haiñ sab bāteñ tumhārī
mirā apnā koī qissa nahīñ hai
tujhe mahsūs bhī maiñ kar na pā.ūñ
añdherā hai magar itnā nahīñ hai
ba-juz 'nītū' kī yādeñ ab jahāñ meñ
koī 'shahzād'-jī terā nahīñ hai
nahin hai ab koi rasta nahin hai
koi juz aap ke apna nahin hai
har ek raste ka patthar puchhta hai
tujhe kya kuchh bhi ab dikhta nahin hai
ajab hai raushni tarikiyon si
ki main hun aur mera saya nahin hai
parastish ki hai meri dhaDkanon ne
tujhe main ne faqat chaha nahin hai
main shayad tere dukh mein mar gaya hun
ki ab sine mein kuchh dukhta nahin hai
luTa di maut bhi qadmon pe tere
bacha kar tujh se kuchh rakkha nahin hai
qayamat hai yahi idrak-e-jaanan
main us ka hun ki jo mera nahin hai
meri baaten hain sab baaten tumhaari
mera apna koi qissa nahin hai
tujhe mahsus bhi main kar na paun
andhera hai magar itna nahin hai
ba-juz 'nitu' ki yaaden ab jahan mein
koi 'shahzad'-ji tera nahin hai
- Book : urdu gazal ka magribi daricha (Pg. 123)
- Author : javaaz jaafri
- Publication : fazli book super market (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.