nigah-o-ruKH par hai likhi jati jo baat lab par ruki hui hai
nigah-o-ruKH par hai likhi jati jo baat lab par ruki hui hai
Najeeba Arif
MORE BYNajeeba Arif
nigāh-o-ruḳh par hai likhī jaatī jo baat lab par rukī huī hai
mahak chhupe bhī to kaise dil meñ kalī jo ġham kī khilī huī hai
jo dil se lipTā hai saañp ban kar Darā rahā hai bachā rahā hai
ye saarī raunaq us ik tasavvur ke dam se hī to lagī huī hai
ḳhayāl apnā kamāl apnā uruuj apnā zavāl apnā
ye kin bhulayyoñ meñ Daal rakhā hai kaisī liilā rachī huī hai
ham apnī kashtī sarāb-gāhoñ meñ Daal kar muntazir khaḌe haiñ
na paar lagte na Dūbte haiñ har ik ravānī thamī huī hai
azal abad to faqat havāle haiñ vaqt kī be-maqām gardish
ḳhabar nahīñ hai thame kahāñ par kahāñ se jaane chalī huī hai
bhaḌak ke jalnā nahīñ gavārā to mere parvardigār maulā
na aisī ātish nafas meñ bharte ki jis se jaañ par banī huī hai
nigah-o-ruKH par hai likhi jati jo baat lab par ruki hui hai
mahak chhupe bhi to kaise dil mein kali jo gham ki khili hui hai
jo dil se lipTa hai sanp ban kar Dara raha hai bacha raha hai
ye sari raunaq us ek tasawwur ke dam se hi to lagi hui hai
KHayal apna kamal apna uruj apna zawal apna
ye kin bhulayyon mein Dal rakha hai kaisi lila rachi hui hai
hum apni kashti sarab-gahon mein Dal kar muntazir khaDe hain
na par lagte na Dubte hain har ek rawani thami hui hai
azal abad to faqat hawale hain waqt ki be-maqam gardish
KHabar nahin hai thame kahan par kahan se jaane chali hui hai
bhaDak ke jalna nahin gawara to mere parwardigar maula
na aisi aatish nafas mein bharte ki jis se jaan par bani hui hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 706)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.