parsaon ne baDe zarf ka izhaar kiya
pārsāoñ ne baḌe zarf kā iz.hār kiyā
ham se pī aur hameñ rusvā sar-e-bāzār kiyā
dard kī dhuup meñ sahrā kī tarah saath rahe
shaam aa.ī to lipaT kar hameñ dīvār kiyā
raat phūloñ kī numā.ish meñ vo ḳhush-jism se log
aap to ḳhvāb hue aur hameñ bedār kiyā
kuchh vo āñkhoñ ko lage sañg pe sabze kī tarah
kuchh sarāboñ ne hameñ tishna-e-dīdār kiyā
tum to resham the chaTānoñ kī nigah-dārī meñ
kis havā ne tumheñ pā-basta-e-yalġhār kiyā
ham bure kyā the ki ik sidq ko samjhe the sipar
vo bhī achchhe the ki bas yaar kahā vaar kiyā
sañgsārī meñ to vo haath bhī uTThā thā 'atā'
jis ne ma.asūm kahā jis ne gunahgār kiyā
parsaon ne baDe zarf ka izhaar kiya
hum se pi aur hamein ruswa sar-e-bazar kiya
dard ki dhup mein sahra ki tarah sath rahe
sham aai to lipaT kar hamein diwar kiya
raat phulon ki numaish mein wo KHush-jism se log
aap to KHwab hue aur hamein bedar kiya
kuchh wo aankhon ko lage sang pe sabze ki tarah
kuchh sarabon ne hamein tishna-e-didar kiya
tum to resham the chaTanon ki nigah-dari mein
kis hawa ne tumhein pa-basta-e-yalghaar kiya
hum bure kya the ki ek sidq ko samjhe the sipar
wo bhi achchhe the ki bas yar kaha war kiya
sangsari mein to wo hath bhi uTTha tha 'ata'
jis ne masum kaha jis ne gunahgar kiya
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 21.09.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.