Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phal hai us but ki aashnai ka

Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni

phal hai us but ki aashnai ka

Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni

MORE BYMunshi Debi Parshad Sahar Badayuni

    phal hai us but āshnā.ī

    mujh ko da.avā hai ab ḳhudā.ī

    na laḌāo nazar raqīboñ se

    kaam achchhā nahīñ laḌā.ī

    āsmāñ par nahīñ hilāl numūd

    na.al hai terī zerpā.ī

    gul meñ thī is qadar kahāñ surḳhī

    aks hai panja-e-hinā.ī

    kis sitamgar se ne ai kāfir

    tarz sīkhā hai dilrubā.ī

    chādar-e-āsmān hāzir ho

    jo astar kare razā.ī

    vaqt kyā aa gayā hai sad-afsos

    bhaa.ī dushman huā hai bhaa.ī

    go barahman pisar vo qātil hai

    dil milā hai magar qasā.ī

    kuchh mirā nahīñ vo but ma.abūd

    ba-ḳhudā hai ḳhudā ḳhudā.ī

    'sehr' kyā us ne kar diyā jaadū

    mujh ko da.avā thā pārsā.ī

    phal hai us but ki aashnai ka

    mujh ko dawa hai ab KHudai ka

    na laDao nazar raqibon se

    kaam achchha nahin laDai ka

    aasman par nahin hilal numud

    nal hai teri zerpai ka

    gul mein thi is qadar kahan surKHi

    aks hai panja-e-hinai ka

    kis sitamgar se tu ne ai kafir

    tarz sikha hai dilrubai ka

    chadar-e-asman hazir ho

    tu jo astar kare razai ka

    waqt kya aa gaya hai sad-afsos

    bhai dushman hua hai bhai ka

    go barahman pisar wo qatil hai

    dil mila hai magar qasai ka

    kuchh mera hi nahin wo but mabud

    ba-KHuda hai KHuda KHudai ka

    'sehr' kya us ne kar diya jadu

    mujh ko dawa tha parsai ka

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now