phir aas de ke aaj ko kal kar diya gaya
phir aas de ke aaj ko kal kar diyā gayā
hoñToñ ke biich baat ko shal kar diyā gayā
sadiyoñ kā phok jism sambhāle to kis tarah
jab umr ko nichoḌ ke pal kar diyā gayā
ab to sañvārne ke liye hijr bhī nahīñ
saarā vabāl le ke ġhazal kar diyā gayā
mujh ko mirī majāl se ziyāda junūñ diyā
dhaḌkan kī lai ko sāz-e-ajal kar diyā gayā
kaise bujhā.eñ kaun bujhā.e bujhe bhī kyuuñ
is aag ko to ḳhuun meñ hal kar diyā gayā
phir aas de ke aaj ko kal kar diya gaya
honTon ke bich baat ko shal kar diya gaya
sadiyon ka phok jism sambhaale to kis tarah
jab umr ko nichoD ke pal kar diya gaya
ab to sanwarne ke liye hijr bhi nahin
sara wabaal le ke ghazal kar diya gaya
mujh ko meri majal se ziyaada junun diya
dhaDkan ki lai ko saz-e-ajal kar diya gaya
kaise bujhaen kaun bujhae bujhe bhi kyun
is aag ko to KHun mein hal kar diya gaya
- Book : jalti havaa ka giit (Pg. 143)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.