phir bapa shahr mein afraatafari kar jae
phir bapā shahr meñ afrātafarī kar jaa.e
koī ye sūkhī huī Daar harī kar jaa.e
jab bhī iqrār kī kuchh raushaniyāñ jam' karūñ
merī tardīd mirī be-basarī kar jaa.e
ma.adan-e-shab se nikāle zar-e-ḳhushbū aa kar
aa.e ye mo'jiza bād-e-saharī kar jaa.e
kasrateñ aa.eñ nazar zaat kī yaktā.ī meñ
ye tamāshā kabhī āshufta-sarī kar jaa.e
lamha munsif bhī hai mujrim bhī hai majbūrī kā
fā.eda shak kā mujhe de ke barī kar jaa.e
us kā me.aar hī kyā roz badal jaatā hai
chhoḌiye! vo jo agar nā-qadarī kar jaa.e
phir bapa shahr mein afraatafari kar jae
koi ye sukhi hui Dar hari kar jae
jab bhi iqrar ki kuchh raushaniyan jam' karun
meri tardid meri be-basari kar jae
madan-e-shab se nikale zar-e-KHushbu aa kar
aae ye mo'jiza baad-e-sahari kar jae
kasraten aaen nazar zat ki yaktai mein
ye tamasha kabhi aashufta-sari kar jae
lamha munsif bhi hai mujrim bhi hai majburi ka
faeda shak ka mujhe de ke bari kar jae
us ka mear hi kya roz badal jata hai
chhoDiye! wo jo agar na-qadari kar jae
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 298)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.