phir lab pe tera zikr hai phir tera nam hai
phir lab pe terā zikr hai phir terā naam hai
phir jaañ luTāne vāloñ kā ik izhdihām hai
sibt-e-rasūl honā hī izzat kī baat hai
par us se baḌh ke tere amal kā maqām hai
rasm-e-yazīd zulm hai har baar aarzī
dīn-e-husain jidd-o-jahd hai mudām hai
hai harb-e-ishq fat.h kī ḳhvāhish se be-niyāz
ye baat alag ki haar ke bhī fat.h naam hai
kyā ġham agar yazīd rahā eqtidār meñ
parcham to phir husain kā mīr-e-avām hai
parcham banā hai phir ka.ī shahroñ meñ terā naam
tū kārvān-e-jidd-o-jahd kā imaam hai
phir lab pe tera zikr hai phir tera nam hai
phir jaan luTane walon ka ek izhdiham hai
sibt-e-rasul hona hi izzat ki baat hai
par us se baDh ke tere amal ka maqam hai
rasm-e-yazid zulm hai har bar aarzi
din-e-husain jidd-o-jahd hai mudam hai
hai harb-e-ishq fath ki KHwahish se be-niyaz
ye baat alag ki haar ke bhi fath nam hai
kya gham agar yazid raha eqtidar mein
parcham to phir husain ka mir-e-awam hai
parcham bana hai phir kai shahron mein tera nam
tu karwan-e-jidd-o-jahd ka imam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.