phir na aaega ye lamha soch le
phir na aa.egā ye lamha soch le
sāmne bahtā hai dariyā soch le
kashtiyoñ ko phūñk kar aage na baḌh
Duub jā.egā jazīra soch le
dekh kar us ko nihattā ḳhush na ho
tajraba pahlā hai terā soch le
apne shīshe ke paroñ kā kar ḳhayāl
ruḳh nahīñ achchhā havā kā soch le
rishta-e-āb-o-sarāb ik ḳhvāb hai
tū bhī saaya maiñ bhī saaya soch le
an-kahī kah an-sunī bāteñ sunā
rah gayā jo kuchh bhī sochā soch le
phir na aaega ye lamha soch le
samne bahta hai dariya soch le
kashtiyon ko phunk kar aage na baDh
Dub jaega jazira soch le
dekh kar us ko nihatta KHush na ho
tajraba pahla hai tera soch le
apne shishe ke paron ka kar KHayal
ruKH nahin achchha hawa ka soch le
rishta-e-ab-o-sarab ek KHwab hai
tu bhi saya main bhi saya soch le
an-kahi kah an-suni baaten suna
rah gaya jo kuchh bhi socha soch le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.