phir wo gum-gashta hawale mujhe wapas kar de
phir vo gum-gashta havāle mujhe vāpas kar de
vo shab o roz vo rishte mujhe vāpas kar de
aañkh se dil ne kahā rañg-e-jahāñ shauq se dekh
mere dekhe hue sapne mujhe vāpas kar de
meñ tujhe duuñ tirī paanī kī likhī tahrīreñ
tū vo ḳhūñ-nāb navishte mujhe vāpas kar de
maiñ shab o roz kā hāsil use lauTā dūñgā
vaqt agar mere khilaune mujhe vāpas kar de
mujh se le le sadaf o gauhar o marjāñ kā hisāb
aur vo ġharqāb safīne mujhe vāpas kar de
nusḳha-e-marham-e-iksīr batāne vaale
tū mirā zaḳhm to pahle mujhe vāpas kar de
haath par ḳhāka-e-taqdīr banāne vaale
yuuñ tahī-dast na dar se mujhe vāpas kar de
āsmāñ sub.h ke āsār se pahle pahle
merī qismat ke sitāre mujhe vāpas kar de
maiñ tirī umr-e-guzishta kī sadā huuñ 'ḳhurshīd'
apne nākām irāde mujhe vāpas kar de
phir wo gum-gashta hawale mujhe wapas kar de
wo shab o roz wo rishte mujhe wapas kar de
aankh se dil ne kaha rang-e-jahan shauq se dekh
mere dekhe hue sapne mujhe wapas kar de
mein tujhe dun teri pani ki likhi tahriren
tu wo KHun-nab nawishte mujhe wapas kar de
main shab o roz ka hasil use lauTa dunga
waqt agar mere khilaune mujhe wapas kar de
mujh se le le sadaf o gauhar o marjaan ka hisab
aur wo gharqab safine mujhe wapas kar de
nusKHa-e-marham-e-iksir batane wale
tu mera zaKHm to pahle mujhe wapas kar de
hath par KHaka-e-taqdir banane wale
yun tahi-dast na dar se mujhe wapas kar de
aasman subh ke aasar se pahle pahle
meri qismat ke sitare mujhe wapas kar de
main teri umr-e-guzishta ki sada hun 'KHurshid'
apne nakaam irade mujhe wapas kar de
- Book : sarabon ke sadaf) (Pg. 35)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.