phul ke laeq faza rakhni hi thi
phuul ke laa.eq fazā rakhnī hī thī
Dar havā se thā havā rakhnī hī thī
go mizājan ham judā the ḳhalq se
saath meñ ḳhalq-e-ḳhudā rakhnī hī thī
yuuñ to dil thā ghar faqat allāh kā
but jo paale the to jā rakhnī hī thī
tark karnī thī har ik rasm-e-jahāñ
haañ magar rasm-e-vafā rakhnī hī thī
sirf kaabe par na thī hujjat tamām
bād-e-kāba karbalā rakhnī hī thī
phul ke laeq faza rakhni hi thi
Dar hawa se tha hawa rakhni hi thi
go mizajan hum juda the KHalq se
sath mein KHalq-e-KHuda rakhni hi thi
yun to dil tha ghar faqat allah ka
but jo pale the to ja rakhni hi thi
tark karni thi har ek rasm-e-jahan
han magar rasm-e-wafa rakhni hi thi
sirf kabe par na thi hujjat tamam
baad-e-kaba karbala rakhni hi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.