phulon ke des chand sitaron ke shahr mein
phūloñ ke des chāñd sitāroñ ke shahr meñ
barbād ho rahā huuñ nigāroñ ke shahr meñ
mauj-e-saman meñ zahr hai bād-e-sabā meñ aag
dam ghuT rahā hai yāsmīñ-zāroñ ke shahr meñ
aañsū huuñ hañs rahā huuñ shagūfoñ ke darmiyāñ
shabnam huuñ jal rahā huuñ sharāroñ ke shahr meñ
vo maiñ huuñ jis ne shola-e-sāġhar uchhāl kar
kī hai ḳhizāñ kī baat bahāroñ ke shahr meñ
ye qil.a aur ye masjid-e-shāh-e-jahāñ kā auj
kis darja sar-nigūñ huuñ manāroñ ke shahr meñ
ai merī fitrat-e-tarab-āgīñ ḳhatā-muāf
sharminda huuñ maiñ zulm ke māroñ ke shahr meñ
bas maiñ banūñgā ḳhusrav-e-mahtāb ai 'salām'
sochā hai ye dhueñ ke ġhubāroñ ke shahr meñ
phulon ke des chand sitaron ke shahr mein
barbaad ho raha hun nigaron ke shahr mein
mauj-e-saman mein zahr hai baad-e-saba mein aag
dam ghuT raha hai yasmin-zaron ke shahr mein
aansu hun hans raha hun shagufon ke darmiyan
shabnam hun jal raha hun shararon ke shahr mein
wo main hun jis ne shola-e-saghar uchhaal kar
ki hai KHizan ki baat bahaaron ke shahr mein
ye qila aur ye masjid-e-shah-e-jahan ka auj
kis darja sar-nigun hun manaron ke shahr mein
ai meri fitrat-e-tarab-agin KHata-muaf
sharminda hun main zulm ke maron ke shahr mein
bas main banunga KHusraw-e-mahtab ai 'salam'
socha hai ye dhuen ke ghubaron ke shahr mein
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 147)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.