pukarne ka qarina main sochta hi raha
pukārne kā qarīna maiñ sochtā hī rahā
hasīñ kahūñ ki hasīna maiñ sochtā hī rahā
namī sī thī dam-e-ruḳhsat kuchh un ke āñchal par
vo ashk the ki pasīna maiñ sochtā hī rahā
tire karam kī koī had nahīñ hisāb nahīñ
chabā ke nān-e-shabīna maiñ sochtā hī rahā
udhar vo pahlī ko aa.e the ek pal ke liye
udhar tamām mahīna maiñ sochtā hī rahā
pukarne ka qarina main sochta hi raha
hasin kahun ki hasina main sochta hi raha
nami si thi dam-e-ruKHsat kuchh un ke aanchal par
wo ashk the ki pasina main sochta hi raha
tere karam ki koi had nahin hisab nahin
chaba ke nan-e-shabina main sochta hi raha
udhar wo pahli ko aae the ek pal ke liye
udhar tamam mahina main sochta hi raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.