pyar apne pe jo aata hai to kya karte hain
pyaar apne pe jo aatā hai to kyā karte haiñ
ā.īna dekh ke muñh chuum liyā karte haiñ
vasl kā lutf mujhe vasl se pahle hī milā
jab kahā yaar ne ghabrā ke ye kyā karte haiñ
is qadar thā mujhe ulfat meñ bharosā un par
kī jafā bhī to ye samjhā ki vafā karte haiñ
hai yahī arz ḳhudā se ki fulāñ but mil jaa.e
vahī achchhe jo namāzoñ meñ duā karte haiñ
lab kisī ke jo hile kaan udhar dhyān udhar
dil lagā kar vo mirā zikr sunā karte haiñ
subah ko dekh ke ā.īne meñ bose kā nishāñ
muskurāte hue hoñToñ meñ gilā karte haiñ
kaise kaise mujhe be-sāḳhta milte haiñ ḳhitāb
ġhussa aatā hai to kyā kyā vo kahā karte haiñ
kyā huā mujh ko raqīboñ ne agar dī tāzīm
terī mahfil meñ to fitne hī uThā karte haiñ
kaan bātoñ kī taraf aañkh hai kāmoñ kī taraf
ho ke anjān mirā zikr sunā karte haiñ
chiin peshānī pe hai mauj-e-tabassum lab meñ
aise hañsmukh haiñ ki ġhusse meñ hañsā karte haiñ
bas to chaltā nahīñ kuchh kah ke unheñ kyuuñ hoñ zalīl
ham to apnā hī lahū aap piyā karte haiñ
is ishāre ke fidā aise tajāhul ke nisār
maar kar aañkh vo muñh pher liyā karte haiñ
jalse hī jalse haiñ jab se vo hue ḳhud-muḳhtār
koī itnā nahīñ kahtā ki ye kyā karte haiñ
āshiqāna hai aqīda bhī hamārā 'mā.il'
le ke ham nām-e-butāñ zikr-e-ḳhudā karte haiñ
pyar apne pe jo aata hai to kya karte hain
aaina dekh ke munh chum liya karte hain
wasl ka lutf mujhe wasl se pahle hi mila
jab kaha yar ne ghabra ke ye kya karte hain
is qadar tha mujhe ulfat mein bharosa un par
ki jafa bhi to ye samjha ki wafa karte hain
hai yahi arz KHuda se ki fulan but mil jae
wahi achchhe jo namazon mein dua karte hain
lab kisi ke jo hile kan udhar dhyan udhar
dil laga kar wo mera zikr suna karte hain
subah ko dekh ke aaine mein bose ka nishan
muskuraate hue honTon mein gila karte hain
kaise kaise mujhe be-saKHta milte hain KHitab
ghussa aata hai to kya kya wo kaha karte hain
kya hua mujh ko raqibon ne agar di tazim
teri mahfil mein to fitne hi uTha karte hain
kan baaton ki taraf aankh hai kaamon ki taraf
ho ke anjaan mera zikr suna karte hain
chin peshani pe hai mauj-e-tabassum lab mein
aise hansmukh hain ki ghusse mein hansa karte hain
bas to chalta nahin kuchh kah ke unhen kyun hon zalil
hum to apna hi lahu aap piya karte hain
is ishaare ke fida aise tajahul ke nisar
mar kar aankh wo munh pher liya karte hain
jalse hi jalse hain jab se wo hue KHud-muKHtar
koi itna nahin kahta ki ye kya karte hain
aashiqana hai aqida bhi hamara 'mail'
le ke hum nam-e-butan zikr-e-KHuda karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.