qasam is aag aur pani ki
qasam is aag aur paanī kī
maut achchhī hai bas javānī kī
aur bhī haiñ rivāyateñ lekin
ik rivāyat hai ḳhūñ-fishānī kī
jise anjām tum samajhtī ho
ibtidā hai kisī kahānī kī
ranj kī ret hai kināroñ par
mauj guzrī thī shādmānī kī
chuum liiñ merī uñgliyāñ 'sarvat'
us ne itnī to mehrbānī kī
qasam is aag aur pani ki
maut achchhi hai bas jawani ki
aur bhi hain riwayaten lekin
ek riwayat hai KHun-fishani ki
jise anjam tum samajhti ho
ibtida hai kisi kahani ki
ranj ki ret hai kinaron par
mauj guzri thi shadmani ki
chum lin meri ungliyan 'sarwat'
us ne itni to mehrbani ki
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 58)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.