raat gahri hai magar ek sahaara hai mujhe
raat gahrī hai magar ek sahārā hai mujhe
ye mirī aañkh kā aañsū hī sitārā hai mujhe
maiñ kisī dhyān meñ baiThā huuñ mujhe kyā ma.alūm
ek aahaT ne ka.ī baar pukārā hai mujhe
aañkh se gard haTātā huuñ to kyā dekhtā huuñ
apne bikhre hue malbe kā nazārā hai mujhe
ai mire lāDle ai naaz ke paale hue dil
tū ne kis kū-e-malāmat se guzārā hai mujhe
maiñ to ab jaise bhī guzregī guzārūñgā yahāñ
tum kahāñ jāoge dhaḌkā to tumhārā hai mujhe
tū ne kyā khol ke rakh dī hai lapeTī huī umr
tū ne kin āḳhirī lamhoñ meñ pukārā hai mujhe
maiñ kahāñ jaatā thā us bazm-e-nazar-bāzāñ meñ
lekin ab ke tire abrū kā ishārā hai mujhe
jaane maiñ kaun thā logoñ se bharī duniyā meñ
merī tanhā.ī ne shīshe meñ utārā hai mujhe
raat gahri hai magar ek sahaara hai mujhe
ye meri aankh ka aansu hi sitara hai mujhe
main kisi dhyan mein baiTha hun mujhe kya malum
ek aahaT ne kai bar pukara hai mujhe
aankh se gard haTata hun to kya dekhta hun
apne bikhre hue malbe ka nazara hai mujhe
ai mere laDle ai naz ke pale hue dil
tu ne kis ku-e-malamat se guzara hai mujhe
main to ab jaise bhi guzregi guzarunga yahan
tum kahan jaoge dhaDka to tumhaara hai mujhe
tu ne kya khol ke rakh di hai lapeTi hui umr
tu ne kin aaKHiri lamhon mein pukara hai mujhe
main kahan jata tha us bazm-e-nazar-bazan mein
lekin ab ke tere abru ka ishaara hai mujhe
jaane main kaun tha logon se bhari duniya mein
meri tanhai ne shishe mein utara hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.