rang kahan hai saya sa hai
rañg kahāñ hai saayā sā hai
naqsh kahāñ hai dhokā sā hai
sub.h kī rañgat zardī-mā.il
shaam nahīñ hai dhaḌkā sā hai
dil kā ḳhuun huā ho shāyad
duur pare jo kohrā sā hai
sail-e-ishq thamā kab hogā
dariyā hai aur chaḌhtā sā hai
lab us ke jo khulte dekhe
ek jahāñ kuchh hañstā sā hai
asl meñ naqsh-e-kaif-e-hastī
faanī sā hai miTtā sā hai
husn aur ishq haiñ donoñ kāfir
donoñ meñ ik jhagḌā sā hai
aao pyaar se dho leñ us ko
naqsh-e-jahāñ kuchh mailā sā hai
rang kahan hai saya sa hai
naqsh kahan hai dhoka sa hai
subh ki rangat zardi-mail
sham nahin hai dhaDka sa hai
dil ka KHun hua ho shayad
dur pare jo kohra sa hai
sail-e-ishq thama kab hoga
dariya hai aur chaDhta sa hai
lab us ke jo khulte dekhe
ek jahan kuchh hansta sa hai
asl mein naqsh-e-kaif-e-hasti
fani sa hai miTta sa hai
husn aur ishq hain donon kafir
donon mein ek jhagDa sa hai
aao pyar se dho len us ko
naqsh-e-jahan kuchh maila sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.