aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rasta rokti KHamoshi ne kaun si baat sunani hai

Ambarin Salahuddin

rasta rokti KHamoshi ne kaun si baat sunani hai

Ambarin Salahuddin

MORE BYAmbarin Salahuddin

    rasta roktī ḳhāmoshī ne kaun baat sunānī hai

    raat āñkheñ jaan rahī haiñ kis ke paas kahānī hai

    aañkh ne vahshat oḌhī hai manzar meñ hairānī hai

    dasht ne dāman jhaaḌ ke pūchhā ab kaisī vīrānī hai

    manzar hai khiḌkī ke andar hai khiḌkī se bāhar

    gardūñ gīrā.ī hai ḳhaak ne chādar taanī hai

    kauñde se lapke paḌte haiñ chuTkī bhar nīlāhaT se

    tāroñ meñ manzar khulne se pahle hairānī hai

    saare sañg-e-mīl bhī manzil ho sakte haiñ bhed khulā

    hāthoñ rekhāoñ meñ har manzil ek nishānī hai

    aap kaheñ to tiin zamāne ek lahr meñ bah nikleñ

    aap kaheñ to saarī bātoñ meñ aisī āsānī hai

    roz-o-shab ke bandhan khol ke vaqt dariyā chal nikle

    aap kaheñ to dānā.ī hai ham kah deñ nādānī hai

    raat chādar tah hone tak dhuup jaadū khulne tak

    darvāze ke band kivāḌoñ se ik baat chhupānī hai

    jitne pul tak raqs kareñgī kirneñ barf qāshoñ par

    kohsāroñ ke dāman meñ bhī tab tak ek kahānī hai

    rasta rokti KHamoshi ne kaun si baat sunani hai

    raat ki aankhen jaan rahi hain kis ke pas kahani hai

    aankh ne wahshat oDhi hai ya manzar mein hairani hai

    dasht ne daman jhaD ke puchha ab kaisi virani hai

    manzar hai khiDki ke andar ya hai khiDki se bahar

    gardun ki girai hai ya KHak ne chadar tani hai

    kaunde se lapke paDte hain chuTki bhar nilahaT se

    taron mein manzar khulne se pahle ki hairani hai

    sare sang-e-mil bhi manzil ho sakte hain bhed khula

    hathon ki rekhaon mein har manzil ek nishani hai

    aap kahen to tin zamane ek hi lahr mein bah niklen

    aap kahen to sari baaton mein aisi aasani hai

    roz-o-shab ke bandhan khol ke waqt ka dariya chal nikle

    aap kahen to danai hai hum kah den nadani hai

    raat ki chadar tah hone tak dhup ka jadu khulne tak

    darwaze ke band kiwaDon se ek baat chhupani hai

    jitne pul tak raqs karengi kirnen barf ki qashon par

    kohsaron ke daman mein bhi tab tak ek kahani hai

    Source:

    Sadiyo.n Jaise Pal (Pg. 126)

    • Author: AMBARIN SALAHUDDIN
      • Edition: 2014
      • Publisher: AMBARIN SALAHUDDIN
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now