raunaq hi nahin uski hum ruh-o-rawan bhi hain
raunaq hī nahīñ us kī ham rūh-o-ravāñ bhī haiñ
lekin hameñ duniyā kī ḳhātir pe garāñ bhī haiñ
ik tere hī kūche par mauqūf nahīñ hai kuchh
har gaam haiñ ta.azīreñ ham log jahāñ bhī haiñ
gulchīñ ko nahīñ shāyad is raaz se āgāhī
shabnam meñ nahā.e gul sho.aloñ kī zabāñ bhī haiñ
khāte the qasam jin ke kirdār-o-amal kī ham
shāmil saf-e-a.adā meñ vo ham-nafasāñ bhī haiñ
sach kahte ho ham aise zarroñ kī haqīqat kyā
ab kaun kahe tum se ham sañg-e-girāñ bhī haiñ
raunaq hi nahin us ki hum ruh-o-rawan bhi hain
lekin hamein duniya ki KHatir pe garan bhi hain
ek tere hi kuche par mauquf nahin hai kuchh
har gam hain taziren hum log jahan bhi hain
gulchin ko nahin shayad is raaz se aagahi
shabnam mein nahae gul shoalon ki zaban bhi hain
khate the qasam jin ke kirdar-o-amal ki hum
shamil saf-e-ada mein wo ham-nafasan bhi hain
sach kahte ho hum aise zarron ki haqiqat kya
ab kaun kahe tum se hum sang-e-giran bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.