raunaqen ab bhi kiwaDon mein chhupi lagti hain
raunaqeñ ab bhī kivāḌoñ meñ chhupī lagtī haiñ
mahfileñ ab bhī usī tarah sajī lagtī haiñ
raushnī ab bhī darāzoñ se umaD aatī hai
khiḌkiyāñ ab bhī sadāoñ se khulī lagtī haiñ
sā.ateñ jo tirī qurbat meñ girāñ guzrī thiiñ
duur se dekhūñ to ab vo bhī bhalī lagtī haiñ
ab bhī kuchh log sunāte haiñ sunā.e hue sher
bāteñ ab bhī tirī zehnoñ meñ basī lagtī haiñ
raunaqen ab bhi kiwaDon mein chhupi lagti hain
mahfilen ab bhi usi tarah saji lagti hain
raushni ab bhi daraazon se umaD aati hai
khiDkiyan ab bhi sadaon se khuli lagti hain
saaten jo teri qurbat mein giran guzri thin
dur se dekhun to ab wo bhi bhali lagti hain
ab bhi kuchh log sunate hain sunae hue sher
baaten ab bhi teri zehnon mein basi lagti hain
- Book : Waraq (Pg. 145)
- Author : ZEHRA NIGAAH
- Edition : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.