raushni chashm-e-KHaridar mein aati hi nahin
Interesting Fact
Vol. 262, November 2002
raushnī chashm-e-ḳharīdār meñ aatī hī nahīñ
kuchh kamī raunaq-e-bāzār meñ aatī hī nahīñ
us se kuchh aisā ta.alluq hai ki shiddat jis kī
kisī pairāya-e-iz.hār meñ aatī hī nahīñ
jo nahīñ hotā bahut hotī hai shohrat us kī
jo guzartī hai vo ash.ār meñ aatī hī nahīñ
saḳht hairāñ huuñ salāhiyyat-e-ḳhaibar-shiknī
vāris-e-haidar-e-karrār meñ aatī hī nahīñ
tum ne dekhī hai ajab kaifiyat-e-chashm 'sirāj'
baat vo nargis-e-bīmār meñ aatī hī nahīñ
raushni chashm-e-KHaridar mein aati hi nahin
kuchh kami raunaq-e-bazar mein aati hi nahin
us se kuchh aisa talluq hai ki shiddat jis ki
kisi pairaya-e-izhaar mein aati hi nahin
jo nahin hota bahut hoti hai shohrat us ki
jo guzarti hai wo ashaar mein aati hi nahin
saKHt hairan hun salahiyyat-e-KHaibar-shikni
waris-e-haidar-e-karrar mein aati hi nahin
tum ne dekhi hai ajab kaifiyat-e-chashm 'siraj'
baat wo nargis-e-bimar mein aati hi nahin
- Book : Shabkhoon (Urdu Monthly) (Pg. 1134)
- Author : Shamsur Rahman Faruqi
- Publication : Shabkhoon Po. Box No.13, 313 rani Mandi Allahabad (June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II)
- Edition : June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.