ret par mujhko guman pani ka tha
ret par mujh ko gumāñ paanī kā thā
sabr merā imtihāñ paanī kā thā
sab junūn-o-azm kāġhaz kashtiyāñ
sāmnā jab be-karāñ paanī kā thā
sañg-e-sahrā meñ thī dariyā kī numūd
sañg-e-sahrā meñ ziyāñ paanī kā thā
yuuñ milī sailāb meñ jā-e-panāh
sar pe mere sā.ebāñ paanī kā thā
aag bhī barsī daraḳhtoñ par vahīñ
kaal bastī meñ jahāñ paanī kā thā
ik sunahrī fāḳhta thī par-kushā
jab ye be-samt āsmāñ paanī kā thā
ret par mujh ko guman pani ka tha
sabr mera imtihan pani ka tha
sab junun-o-azm kaghaz kashtiyan
samna jab be-karan pani ka tha
sang-e-sahra mein thi dariya ki numud
sang-e-sahra mein ziyan pani ka tha
yun mili sailab mein ja-e-panah
sar pe mere saeban pani ka tha
aag bhi barsi daraKHton par wahin
kal basti mein jahan pani ka tha
ek sunahri faKHta thi par-kusha
jab ye be-samt aasman pani ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.