rifaqat ki ye KHwahish kah rahi hai
rifāqat kī ye ḳhvāhish kah rahī hai
ka.ī din se vo mujh meñ rah rahī hai
pukārā hai kuchh aise naam merā
ragoñ meñ raushnī sī bah rahī hai
ta.ajjub hai ki merī uñgliyoñ meñ
tirī hāthoñ kī ḳhushbū rah rahī hai
samajh paayā nahīñ par sun rahā huuñ
vo sargoshī meñ kyā kyā kah rahī hai
tirī ḳhvāhish kisī imkāñ kī sūrat
hamesha mujh meñ tah-dar-tah rahī hai
maiñ us kī chhāñv meñ huuñ 'turk' lekin
vo merī dhuup kaise sah rahī hai
rifaqat ki ye KHwahish kah rahi hai
kai din se wo mujh mein rah rahi hai
pukara hai kuchh aise nam mera
ragon mein raushni si bah rahi hai
tajjub hai ki meri ungliyon mein
teri hathon ki KHushbu rah rahi hai
samajh paya nahin par sun raha hun
wo sargoshi mein kya kya kah rahi hai
teri KHwahish kisi imkan ki surat
hamesha mujh mein tah-dar-tah rahi hai
main us ki chhanw mein hun 'turk' lekin
wo meri dhup kaise sah rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.