roz ek KHwab-e-musalsal aur main
roz ik ḳhvāb-e-musalsal aur maiñ
raat bhar yādoñ kā jañgal aur maiñ
haath koī bhī sahāre ko nahīñ
paañv ke nīche hai daldal aur maiñ
sochtā huuñ shab guzārūñ ab kahāñ
ghar kā darvāza muqaffal aur maiñ
har qadam tārīkiyāñ haiñ ham-rikāb
ab koī jugnū na mish.al aur maiñ
hai har ik pal ḳhauf raqsāñ maut kā
chār-sū hai shor-e-maqtal aur maiñ
sher kahnā ab 'ra.īs' āsāñ nahīñ
sāmne ik chehra mohmal aur maiñ
roz ek KHwab-e-musalsal aur main
raat bhar yaadon ka jangal aur main
hath koi bhi sahaare ko nahin
panw ke niche hai daldal aur main
sochta hun shab guzarun ab kahan
ghar ka darwaza muqaffal aur main
har qadam tarikiyan hain ham-rikab
ab koi jugnu na mishal aur main
hai har ek pal KHauf raqsan maut ka
chaar-su hai shor-e-maqtal aur main
sher kahna ab 'rais' aasan nahin
samne ek chehra mohmal aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.