saat-e-hijr jab satati hai
sā.at-e-hijr jab satātī hai
vaqt kī nabz ruk sī jaatī hai
chīzeñ apnī jagah pe rahtī haiñ
tīrgī bas unheñ chhupātī hai
shor meñ jo sadā.eñ dab jaa.eñ
ḳhāmushī phir vahī sunātī hai
dhuup kī aañch hai jo raat ga.e
chāñdnī ban ke muskurātī hai
husn shāyad isī ko kahte haiñ
jab nazar lauT lauT jaatī hai
vo mirī jiit tere naam se thī
haañ magar haar merī zaatī hai
chāñd jab dhuup meñ nikaltā hai
chāñdnī kab nazar meñ aatī hai
ḳhvāb dekhā ho jin kī āñkhoñ ne
sub.h-e-nau bas unheñ bulātī hai
saat-e-hijr jab satati hai
waqt ki nabz ruk si jati hai
chizen apni jagah pe rahti hain
tirgi bas unhen chhupati hai
shor mein jo sadaen dab jaen
KHamushi phir wahi sunati hai
dhup ki aanch hai jo raat gae
chandni ban ke muskuraati hai
husn shayad isi ko kahte hain
jab nazar lauT lauT jati hai
wo meri jit tere nam se thi
han magar haar meri zati hai
chand jab dhup mein nikalta hai
chandni kab nazar mein aati hai
KHwab dekha ho jin ki aankhon ne
subh-e-nau bas unhen bulati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.