Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sadiyon ke baad hosh mein jo aa raha hun main

Zulfiqar Naqvi

sadiyon ke baad hosh mein jo aa raha hun main

Zulfiqar Naqvi

MORE BYZulfiqar Naqvi

    sadiyoñ ke baad hosh meñ jo aa rahā huuñ maiñ

    lagtā hai pahle jurm ko dohrā rahā huuñ maiñ

    pur-haul vādiyoñ safar hai bahut kaThin

    le rahā hai shauq chalā rahā huuñ maiñ

    ḳhālī haiñ donoñ haath aur dāman bhī taar taar

    kyuuñ ek musht-e-ḳhāk pe itrā rahā huuñ maiñ

    shauq-e-visāl-e-yār meñ ik umr kaaT

    ab baam o dar saje haiñ to ghabrā rahā huuñ maiñ

    shāyad varaq hai paḌh liyā koī hayāt

    ban kar faqīh-e-shahr jo samjhā rahā huuñ maiñ

    sāhil pe baiThā dekh ke maujoñ iztirāb

    uljhī huī gutthiyāñ suljhā rahā huuñ maiñ

    sadiyon ke baad hosh mein jo aa raha hun main

    lagta hai pahle jurm ko dohra raha hun main

    pur-haul wadiyon ka safar hai bahut kaThin

    le ja raha hai shauq chala ja raha hun main

    KHali hain donon hath aur daman bhi tar tar

    kyun ek musht-e-KHak pe itra raha hun main

    shauq-e-visal-e-yar mein ek umr kaT di

    ab baam o dar saje hain to ghabra raha hun main

    shayad waraq hai paDh liya koi hayat ka

    ban kar faqih-e-shahr jo samjha raha hun main

    sahil pe baiTha dekh ke maujon ka iztirab

    uljhi hui si gutthiyan suljha raha hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now