sadiyon se zamane ka ye andaz raha hai
sadiyoñ se zamāne kā ye andāz rahā hai
saaya bhī judā ho gayā jab vaqt paḌā hai
bhūle se kisī aur kā rasta nahīñ chhūte
apnī to har ik shaḳhs se raftār judā hai
us rind-e-balā-nosh ko siine se lagā lo
mai-ḳhāne kā zāhid se patā pūchh rahā hai
mañjdhār se Takrā.e haiñ himmat nahīñ haare
TuuTī huī patvār pe ye zo'm rahā hai
ghar apnā kisī aur kī nazroñ se na dekho
har tarah se ujḌā hai magar phir bhī sajā hai
mai-kash kisī tafrīq ke qaa.il hī nahīñ haiñ
vaa.iz ke liye bhī dar-e-mai-ḳhāna khulā hai
ye daur bhī kyā daur hai is daur meñ yaaro
sach bolne vāloñ kā hī anjām burā hai
sadiyon se zamane ka ye andaz raha hai
saya bhi juda ho gaya jab waqt paDa hai
bhule se kisi aur ka rasta nahin chhute
apni to har ek shaKHs se raftar juda hai
us rind-e-bala-nosh ko sine se laga lo
mai-KHane ka zahid se pata puchh raha hai
manjdhaar se Takrae hain himmat nahin haare
TuTi hui patwar pe ye zo'm raha hai
ghar apna kisi aur ki nazron se na dekho
har tarah se ujDa hai magar phir bhi saja hai
mai-kash kisi tafriq ke qail hi nahin hain
waiz ke liye bhi dar-e-mai-KHana khula hai
ye daur bhi kya daur hai is daur mein yaro
sach bolne walon ka hi anjam bura hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.