sahab-e-sabz na taus-e-nilmen laya
sahāb-e-sabz na tā.ūs-e-nīlmīñ laayā
vo shaḳhs lauT ke ik aur sar-zamīñ laayā
atā usī kī hai ye shahd o shor kī taufīq
vahī galīm meñ ye nān-e-be-javīñ laayā
usī kī chaap hai ukhḌe hue khḌanje par
vo ḳhisht o ḳhvāb ko bairūn-e-azmagīñ laayā
vo pesh-e-burrish-e-shamshīr bhī gavāhī meñ
kaf-e-buland meñ ik shāḳh-e-yāsmīñ laayā
kitāb-e-ḳhāk paḌhī zalzale kī raat us ne
shaguft-e-gul ke zamāne meñ vo yaqīñ laayā
sahab-e-sabz na taus-e-nilmin laya
wo shaKHs lauT ke ek aur sar-zamin laya
ata usi ki hai ye shahd o shor ki taufiq
wahi galim mein ye nan-e-be-jawin laya
usi ki chap hai ukhDe hue khDanje par
wo KHisht o KHwab ko bairun-e-azmagin laya
wo pesh-e-burrish-e-shamshir bhi gawahi mein
kaf-e-buland mein ek shaKH-e-yasmin laya
kitab-e-KHak paDhi zalzale ki raat us ne
shaguft-e-gul ke zamane mein wo yaqin laya
- Book : meyaar (Pg. 317)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.