Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samundar ke kinare ek samundar aadamiyyon ka

Iqbal Haider

samundar ke kinare ek samundar aadamiyyon ka

Iqbal Haider

MORE BYIqbal Haider

    samundar ke kināre ik samundar ādamiyyoñ

    hamāre shahr meñ rahtā hai lashkar ādamiyyoñ

    vahī sīna-figārī hai vahī be-e'tibārī hai

    badaltā nahīñ hai yaañ muqaddar ādamiyyoñ

    zamīñ se āsmāñ tak chhā rahī hai ḳhuun surḳhī

    chhupā hai ḳhair ke parde meñ bhī shar ādamiyyoñ

    qayāmat se bahut pahle qayāmat kyuuñ na ho barpā

    jhukā hai aadmī ke sāmne sar ādamiyyoñ

    faqat chehre ab gard-e-kudūrat se nahīñ dhuñdle

    diloñ aa.ina bhī hai mukaddar ādamiyyoñ

    zamīñ yūñhī rahī gar be-gunāhoñ ke lahū se tar

    havā ho jā.egā ik din samundar ādamiyyoñ

    samundar ke kinare ek samundar aadamiyyon ka

    hamare shahr mein rahta hai lashkar aadamiyyon ka

    wahi sina-figari hai wahi be-e'tibari hai

    badalta hi nahin hai yan muqaddar aadamiyyon ka

    zamin se aasman tak chha rahi hai KHun ki surKHi

    chhupa hai KHair ke parde mein bhi shar aadamiyyon ka

    qayamat se bahut pahle qayamat kyun na ho barpa

    jhuka hai aadmi ke samne sar aadamiyyon ka

    faqat chehre hi ab gard-e-kudurat se nahin dhundle

    dilon ka aaina bhi hai mukaddar aadamiyyon ka

    zamin yunhi rahi gar be-gunahon ke lahu se tar

    hawa ho jaega ek din samundar aadamiyyon ka

    Source :
    • Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 164)
    • Author : Naseer Ahmed Nasir
    • Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 5,6 April To Sep. 1998)
    • Edition : Issue No. 5,6 April To Sep. 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now