samundaron ko uThae phiri ghaTa barson
samundaroñ ko uThā.e phirī ghaTā barsoñ
magar maiñ pyaas na apnī bichhā sakā barsoñ
bas itnā yaad hai tujh se milā thā raste meñ
phir apne aap se rahnā paḌā judā barsoñ
maiñ ek umr bhaTaktā rahā huuñ sahrā meñ
ki merī ḳhaak uḌātī rahī havā barsoñ
hamī ne dāman-e-shab ko na haath se chhoḌā
sahar ke giit sunātī rahī sabā barsoñ
nasīm shāḳh-e-gul-e-tar se kyuuñ ulajhtī hai
chaman meñ phuul agar phir na khil sakā barsoñ
tumhī ne rāh-e-vafā par qadam rakhā na kabhī
charāġh ban ke maiñ har moḌ par jalā barsoñ
kiran kiran mujhe parvāz kī naved hai aaj
rahā huuñ terī fazāoñ meñ par-kushā barsoñ
samundaron ko uThae phiri ghaTa barson
magar main pyas na apni bichha saka barson
bas itna yaad hai tujh se mila tha raste mein
phir apne aap se rahna paDa juda barson
main ek umr bhaTakta raha hun sahra mein
ki meri KHak uDati rahi hawa barson
hami ne daman-e-shab ko na hath se chhoDa
sahar ke git sunati rahi saba barson
nasim shaKH-e-gul-e-tar se kyun ulajhti hai
chaman mein phul agar phir na khil saka barson
tumhi ne rah-e-wafa par qadam rakha na kabhi
charagh ban ke main har moD par jala barson
kiran kiran mujhe parwaz ki nawed hai aaj
raha hun teri fazaon mein par-kusha barson
- Book : Pakistani Adab (Pg. 348)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.