shayad nae safar ki kahani likhenge log
shāyad na.e safar kī kahānī likheñge log
paanī ko ḳhuun ḳhuun ko paanī likheñge log
ai āsmān harf ko phir e.atibār de
varna haqīqatoñ ko kahānī likheñge log
kāġhaz pe ab lahū kī lakīreñ bhī aa ga.iiñ
kab tak hamāre ḳhuun ko paanī likheñge log
jab chāñd muskurā.egā phūloñ kī shāḳh par
phir to har ek raat suhānī likheñge log
is sādgī meñ rang-e-mohabbat zarūr hai
'anjum' tirī ġhazal ke ma.ānī likheñge log
shayad nae safar ki kahani likhenge log
pani ko KHun KHun ko pani likhenge log
ai aasman harf ko phir eatibar de
warna haqiqaton ko kahani likhenge log
kaghaz pe ab lahu ki lakiren bhi aa gain
kab tak hamare KHun ko pani likhenge log
jab chand muskuraega phulon ki shaKH par
phir to har ek raat suhani likhenge log
is sadgi mein rang-e-mohabbat zarur hai
'anjum' teri ghazal ke maani likhenge log
- Book : Khamoshiyon Ka Nagma (Pg. 50)
- Author : Anjum Barabankvi
- Publication : Educational Publishing House (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.