Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shafaq ke rang nikalne ke baad aai hai

Indira Varma

shafaq ke rang nikalne ke baad aai hai

Indira Varma

MORE BYIndira Varma

    shafaq ke rañg nikalne ke baad aa.ī hai

    ye shaam dhuup meñ chalne ke baad aa.ī hai

    After the colours of dusk have been splayed out

    The evening has come after walking in the Sun

    ye raushnī tire kamre meñ ḳhud nahīñ aa.ī

    sham.a jism pighalne ke baad aa.ī hai

    This light didn't appear in your room on its own

    It has come after burning the body of the candle

    isī tarah se rakho band merī āñkheñ ab

    ki niiñd ḳhvāb badalne ke baad aa.ī hai

    Keep my eyes closed in such a way now

    For sleep has come after changing my dreams

    yaqīn hai ki kabhī be-asar nahīñ hogī

    duā laboñ pe machalne ke baad aa.ī hai

    I am convinced that it shall never go unheeded

    For this prayer has come after twitching on my lips

    nadī jo pyaar se bahtī hai regzāroñ meñ

    ye pattharoñ meñ uchhalne ke baad aa.ī hai

    The river that runs sweetly through the deserts

    Has come after bounding through the boulders

    thī jis bahār uljhan tamām muddat se

    vo 'indirā' ke bahalne ke baad aa.ī hai

    That spring which caused such distress for so long

    Has finally arrived, now that Indira has calmed down

    shafaq ke rang nikalne ke baad aai hai

    ye sham dhup mein chalne ke baad aai hai

    After the colours of dusk have been splayed out

    The evening has come after walking in the Sun

    ye raushni tere kamre mein KHud nahin aai

    shama ka jism pighalne ke baad aai hai

    This light didn't appear in your room on its own

    It has come after burning the body of the candle

    isi tarah se rakho band meri aankhen ab

    ki nind KHwab badalne ke baad aai hai

    Keep my eyes closed in such a way now

    For sleep has come after changing my dreams

    yaqin hai ki kabhi be-asar nahin hogi

    dua labon pe machalne ke baad aai hai

    I am convinced that it shall never go unheeded

    For this prayer has come after twitching on my lips

    nadi jo pyar se bahti hai regzaron mein

    ye pattharon mein uchhalne ke baad aai hai

    The river that runs sweetly through the deserts

    Has come after bounding through the boulders

    thi jis bahaar ki uljhan tamam muddat se

    wo 'indira' ke bahalne ke baad aai hai

    That spring which caused such distress for so long

    Has finally arrived, now that Indira has calmed down

    RECITATIONS

    Sudeep Banerjee

    Sudeep Banerjee,

    Sudeep Banerjee

    shafaq ke rang nikalne ke baad aai hai Sudeep Banerjee

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now