shikoh-e-ab mein gum the jihat-nishan mere
shikoh-e-āb meñ gum the jihat-nishāñ mere
havā ne rakh diye tah kar ke bādbāñ mere
sahar ko saath uḌā le ga.ī sabā jaise
ye kis ne kar diye raste dhuāñ dhuāñ mere
tire ishāra-e-abrū pe rut badaltī hai
bahār hai na tasallut meñ hai ḳhizāñ mere
utarne vaale safīnoñ meñ chhed karte ga.e
Dubo ga.e mujhe sāhil pe mehrbāñ mere
khilā shagūfa-e-ġham shāḳh-e-umr par 'sayyad'
mahak rahe haiñ sar-e-harf jism-o-jāñ mere
shikoh-e-ab mein gum the jihat-nishan mere
hawa ne rakh diye tah kar ke baadban mere
sahar ko sath uDa le gai saba jaise
ye kis ne kar diye raste dhuan dhuan mere
tere ishaara-e-abru pe rut badalti hai
bahaar hai na tasallut mein hai KHizan mere
utarne wale safinon mein chhed karte gae
Dubo gae mujhe sahil pe mehrban mere
khila shagufa-e-gham shaKH-e-umr par 'sayyad'
mahak rahe hain sar-e-harf jism-o-jaan mere
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 384)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.