shikwa jo mera ashk mein Dhalta chala gaya
shikva jo merā ashk meñ Dhaltā chalā gayā
saarā ġhubār dil kā nikaltā chalā gayā
raushan kiyā umiid ne yuuñ jāda-e-hayāt
har gaam pe charāġh sā jaltā chalā gayā
raas aa sakī sukūñ ko nā tadbīr-e-zabt-e-ġham
āñkhoñ se ḳhuun dil kā ubaltā chalā gayā
jis par mire fareb-e-tamannā ko naaz thā
vo din bhī intizār meñ Dhaltā chalā gayā
pichhle pahar jo sham' ne khīñchī ik āh-e-sard
chehre kā un ke rañg badaltā chalā gayā
baḌhne lagī yaqīn o gumāñ meñ jo kashmakash
vā'da bhī sub.h o shaam pe Taltā chalā gayā
vo nauha-e-alam ho ki 'nayyar' navā-e-shauq
har naġhma ek saaz meñ Dhaltā chalā gayā
shikwa jo mera ashk mein Dhalta chala gaya
sara ghubar dil ka nikalta chala gaya
raushan kiya umid ne yun jada-e-hayat
har gam pe charagh sa jalta chala gaya
ras aa saki sukun ko na tadbir-e-zabt-e-gham
aankhon se KHun dil ka ubalta chala gaya
jis par mere fareb-e-tamanna ko naz tha
wo din bhi intizar mein Dhalta chala gaya
pichhle pahar jo sham' ne khinchi ek aah-e-sard
chehre ka un ke rang badalta chala gaya
baDhne lagi yaqin o guman mein jo kashmakash
wa'da bhi subh o sham pe Talta chala gaya
wo nauha-e-alam ho ki 'nayyar' nawa-e-shauq
har naghma ek saz mein Dhalta chala gaya
- Book : reza-e-miinaa (Pg. 22)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.