shukr ko shikwa-e-jafa samjhe
shukr ko shikva-e-jafā samjhe
kyā kahā maiñ ne aap kyā samjhe
ham tirī baat nāsehā samjhe
koī samjhe hue ko kyā samjhe
marazul-maut ko shifā samjhe
dard ko jaan kī davā samjhe
is taḌapne kā mudda.ā samjhe
dil-e-bad-ḳhū tujhe ḳhudā samjhe
haa.e nādānī-e-sarishk na pūchh
girya ko tarz-e-iltijā samjhe
kar diye ik jahāñ ke but ḳhud-bīñ
ai sikandar tujhe ḳhudā samjhe
dard-angez suur kī āvāz
dil shikastan kī ham sadā samjhe
aur bigḌe mirī shikāyat se
kuchh bhī mauqa na baat kā samjhe
shikva-e-jaur par uThā.ī teġh
vo mujhe jaan se ḳhafā samjhe
kaun kartā hai aane kā va.ada
ham tirī bandisheñ hinā samjhe
haif nādānī-o-taġhāful-e-dil
kyā tujhe aap se ḳhudā samjhe
ġhair bheje hai us ko ḳhatt-e-visāl
kaash merā likhā huā samjhe
ruuh ke saiñkaḌoñ libās hue
kis ko utrī huī qabā samjhe
dil kī nākāmiyoñ se jaan ga.ī
kis nikamme ko kaam kā samjhe
'sho.ala' kal hī to mai-kade meñ the
aaj tum kis ko pārsā samjhe
shukr ko shikwa-e-jafa samjhe
kya kaha main ne aap kya samjhe
hum teri baat naseha samjhe
koi samjhe hue ko kya samjhe
marazul-maut ko shifa samjhe
dard ko jaan ki dawa samjhe
is taDapne ka muddaa samjhe
dil-e-bad-KHu tujhe KHuda samjhe
hae nadani-e-sarishk na puchh
girya ko tarz-e-iltija samjhe
kar diye ek jahan ke but KHud-bin
ai sikandar tujhe KHuda samjhe
dard-angez sur ki aawaz
dil shikastan ki hum sada samjhe
aur bigDe meri shikayat se
kuchh bhi mauqa na baat ka samjhe
shikwa-e-jaur par uThai tegh
wo mujhe jaan se KHafa samjhe
kaun karta hai aane ka wada
hum teri bandishen hina samjhe
haif nadani-o-taghaful-e-dil
kya tujhe aap se KHuda samjhe
ghair bheje hai us ko KHatt-e-visal
kash mera likha hua samjhe
ruh ke sainkaDon libas hue
kis ko utri hui qaba samjhe
dil ki nakaamiyon se jaan gai
kis nikamme ko kaam ka samjhe
'shoala' kal hi to mai-kade mein the
aaj tum kis ko parsa samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.