subh-e-qayamat jin honTon pe dilase dekhe
sub.h-e-qayāmat jin hoñToñ pe dilāse dekhe
kyā lab-e-dariyā un jaise bhī pyāse dekhe
kaun vafā kī manzil se is shaan se guzrā
chāk-e-qabā dekhe jo koī balā se dekhe
hāthoñ meñ mīzān laboñ par hukm-e-qazā hai
hākim-e-shahr bhī aksar ham ne ḳhudā se dekhe
dekhne vaale yuuñ to bahut dekhe haiñ lekin
mar jā.ūñ jo koī terī adā se dekhe
jin ko zom thā band-e-mizha kī mazbūtī par
un āñkhoñ se bahte hue dariyā se dekhe
jin hāthoñ se baTtī ḳhairāteñ dekhī thiiñ
in āñkhoñ se un hāthoñ meñ kaase dekhe
is shahr-e-nā-pursāñ meñ ham ne to 'āzar'
chehre guloñ se dekhe dil sahrā se dekhe
subh-e-qayamat jin honTon pe dilase dekhe
kya lab-e-dariya un jaise bhi pyase dekhe
kaun wafa ki manzil se is shan se guzra
chaak-e-qaba dekhe jo koi bala se dekhe
hathon mein mizan labon par hukm-e-qaza hai
hakim-e-shahr bhi aksar hum ne KHuda se dekhe
dekhne wale yun to bahut dekhe hain lekin
mar jaun jo koi teri ada se dekhe
jin ko zom tha band-e-mizha ki mazbuti par
un aankhon se bahte hue dariya se dekhe
jin hathon se baTti KHairaaten dekhi thin
in aankhon se un hathon mein kase dekhe
is shahr-e-na-pursan mein hum ne to 'azar'
chehre gulon se dekhe dil sahra se dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.