subh ka manzar hai lekin gul koi taza nahin
sub.h kā manzar hai lekin gul koī taaza nahīñ
rū-e-gulshan par kahīñ bhī os kā ġhāza nahīñ
TuuT kar ham chāhne vāloñ se jab bichhaḌeñge aap
ham hī ham bikhreñge lekin misl-shīrāza nahīñ
ġhaar vāloñ kī tarah niklā hai vo kamre se aaj
us ko is duniyā kī tabdīlī kā andāza nahīñ
kuchh na kuchh kahte to rahte haiñ yahāñ ham log jī
phir bhī is shahr-e-butāñ meñ ka.ī āvāza nahīñ
is imārat ke muqaddar kī lakīroñ meñ kahīñ
khiḌkiyāñ to haiñ magar 'misdāq' darvāza nahīñ
subh ka manzar hai lekin gul koi taza nahin
ru-e-gulshan par kahin bhi os ka ghaza nahin
TuT kar hum chahne walon se jab bichhaDenge aap
hum hi hum bikhrenge lekin misl-shiraaza nahin
ghaar walon ki tarah nikla hai wo kamre se aaj
us ko is duniya ki tabdili ka andaza nahin
kuchh na kuchh kahte to rahte hain yahan hum log ji
phir bhi is shahr-e-butan mein kai aawaza nahin
is imarat ke muqaddar ki lakiron mein kahin
khiDkiyan to hain magar 'misdaq' darwaza nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.