suKHan raaz-e-nashat-o-gham ka parda ho hi jata hai
suḳhan rāz-e-nashāt-o-ġham kā parda ho hī jaatā hai
ġhazal kah leñ to jī kā bojh halkā ho hī jaatā hai
vo aalam jab kisī māyūs kā hotā nahīñ koī
tujhe ma.alūm bhī hai tū kisī kā ho hī jaatā hai
kiyā hai maiñ ne iz.hār-e-tamannā jaane kis kis se
mujhe aksar tirī sūrat kā dhokā ho hī jaatā hai
hujūm-e-ārzū hamrāh-e-jān-o-dil sahī lekin
qarīb-e-kū-e-jānāñ koī tanhā ho hī jaatā hai
hameñ to umr-bhar kā ġham ki aisā kyuuñ huā hogā
hameñ ab kaun samjhā.e ki aisā ho hī jaatā hai
koī tujh sā nahīñ hai anjuman-dar-anjuman dekhā
magar tanhā.iyoñ meñ koī tujh sā ho hī jaatā hai
na ro yuuñ 'shāz' āñkheñ jo dikhā.eñ dekhte jaao
na itnā ġham karo ye dil hai sahrā ho hī jaatā hai
suKHan raaz-e-nashat-o-gham ka parda ho hi jata hai
ghazal kah len to ji ka bojh halka ho hi jata hai
wo aalam jab kisi mayus ka hota nahin koi
tujhe malum bhi hai tu kisi ka ho hi jata hai
kiya hai main ne izhaar-e-tamanna jaane kis kis se
mujhe aksar teri surat ka dhoka ho hi jata hai
hujum-e-arzu hamrah-e-jaan-o-dil sahi lekin
qarib-e-ku-e-jaanan koi tanha ho hi jata hai
hamein to umr-bhar ka gham ki aisa kyun hua hoga
hamein ab kaun samjhae ki aisa ho hi jata hai
koi tujh sa nahin hai anjuman-dar-anjuman dekha
magar tanhaiyon mein koi tujh sa ho hi jata hai
na ro yun 'shaz' aankhen jo dikhaen dekhte jao
na itna gham karo ye dil hai sahra ho hi jata hai
- Book : Kulliyat-e-Shaz Tamkanat (Pg. 277)
- Author : Shaz Tamkanat
- Publication : Educational Publishing House (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.