suraj dhire dhire pighla phir taron mein Dhalne laga
sūraj dhīre dhīre pighlā phir tāroñ meñ Dhalne lagā
mere andar kā sannāTā jaag ke āñkheñ malne lagā
shaam ne barf pahan rakkhī thī raushniyāñ bhī ThanDī thiiñ
maiñ is ThanDak se ghabrā kar apnī aag meñ jalne lagā
saarā mausam badal chukā thā phuul bhī the aur aag bhī thī
raat ne jab ye svāñg rachāyā chāñd bhī ruup badalne lagā
āvāzoñ ke añg añg meñ dard ke nashtar chubhne lage
pyāsī āñkhoñ ke sahrā meñ ret kā jhakkaḌ chalne lagā
niile surḳh safed sunahre ek ek karke Duub ga.e
samtoñ kī har pagDanDī par kaalā rañg pighalne lagā
suraj dhire dhire pighla phir taron mein Dhalne laga
mere andar ka sannaTa jag ke aankhen malne laga
sham ne barf pahan rakkhi thi raushniyan bhi ThanDi thin
main is ThanDak se ghabra kar apni aag mein jalne laga
sara mausam badal chuka tha phul bhi the aur aag bhi thi
raat ne jab ye swang rachaya chand bhi rup badalne laga
aawazon ke ang ang mein dard ke nashtar chubhne lage
pyasi aankhon ke sahra mein ret ka jhakkaD chalne laga
nile surKH safed sunahre ek ek karke Dub gae
samton ki har pagDanDi par kala rang pighalne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.