suraj koi na koi sitara tulua ho
sūraj koī na koī sitārā tulūa ho
tanhā agar ḳhudā hai to tanhā tulūa ho
be-rishtagī kā ek samundar hai aur maiñ
muddat se muntazir huuñ kinārā tulūa ho
aa mere paas aur kabhī is tarah chamak
mere badan se bhī tirā saayā tulūa ho
'jamshed' kyā karoge agar yuuñ bhī ho kabhī
sūraj ke dā.ere se añdherā tulūa ho
suraj koi na koi sitara tulua ho
tanha agar KHuda hai to tanha tulua ho
be-rishtagi ka ek samundar hai aur main
muddat se muntazir hun kinara tulua ho
aa mere pas aur kabhi is tarah chamak
mere badan se bhi tera saya tulua ho
'jamshed' kya karoge agar yun bhi ho kabhi
suraj ke daere se andhera tulua ho
- Book : Tahreek Silver Jubilee Number (Pg. 426)
- Author : Gopal Mittal, Makhmoor Saeedi, Prem Gopal Mittal
- Publication : Monthly Tahreek, 9, Ansari Market, Daryaganj, New Delhi-110002 (July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,)
- Edition : July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.