tamam shahr mein koi bhi ru-shanas na tha
tamām shahr meñ koī bhī rū-shanās na thā
ḳhatā yahī thī ki lahja pur-iltimās na thā
phir us ne kis liye rakkhe havā pe apne qadam
vo gard gard thā sūkhe laboñ kī pyaas na thā
maiñ apne aap luTā āsmāñ kī ḳhvāhish se
zamīñ kā chehra mirī niiñd se udaas na thā
ye kis ne aañkh ko nañgā kiyā hai dariyā meñ
mahaktī ret pe koī bhī be-libās na thā
udaas ho ke sajā carnas ke patthar par
zamīñ pe TuuT ke girtā maiñ vo glass na thā
tamam shahr mein koi bhi ru-shanas na tha
KHata yahi thi ki lahja pur-iltimas na tha
phir us ne kis liye rakkhe hawa pe apne qadam
wo gard gard tha sukhe labon ki pyas na tha
main apne aap luTa aasman ki KHwahish se
zamin ka chehra meri nind se udas na tha
ye kis ne aankh ko nanga kiya hai dariya mein
mahakti ret pe koi bhi be-libas na tha
udas ho ke saja carnas ke patthar par
zamin pe TuT ke girta main wo glass na tha
- Book : shab khuun (50) (rekhta website) (Pg. 68)
- Edition : 1970
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.