Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taqdir ka shikwa be-mani jina hi tujhe manzur nahin

Majrooh Sultanpuri

taqdir ka shikwa be-mani jina hi tujhe manzur nahin

Majrooh Sultanpuri

MORE BYMajrooh Sultanpuri

    taqdīr shikva be-ma.anī jiinā tujhe manzūr nahīñ

    aap apnā muqaddar ban na sake itnā to koī majbūr nahīñ

    ye mahfil-e-ahl-e-dil hai yahāñ ham sab mai-kash ham sab saaqī

    tafrīq kareñ insānoñ meñ is bazm ye dastūr nahīñ

    jannat ba-nigah tasnīm ba-lab andāz us ke ai shaiḳh na pūchh

    maiñ jis se mohabbat kartā huuñ insāñ hai ḳhayālī huur nahīñ

    vo kaun sub.heñ haiñ jin meñ bedār nahīñ afsūñ terā

    vo kaun kaalī rāteñ haiñ jo mere nashe meñ chuur nahīñ

    sunte haiñ ki kāñTe se gul tak haiñ raah meñ lākhoñ vīrāne

    kahtā hai magar ye azm-e-junūñ sahrā se gulistāñ duur nahīñ

    'majrūh' uThī hai mauj-e-sabā āsār liye tūfānoñ ke

    har qatra-e-shabnam ban jaa.e ik jū-e-ravāñ kuchh duur nahīñ

    taqdir ka shikwa be-mani jina hi tujhe manzur nahin

    aap apna muqaddar ban na sake itna to koi majbur nahin

    ye mahfil-e-ahl-e-dil hai yahan hum sab mai-kash hum sab saqi

    tafriq karen insanon mein is bazm ka ye dastur nahin

    jannat ba-nigah tasnim ba-lab andaz us ke ai shaiKH na puchh

    main jis se mohabbat karta hun insan hai KHayali hur nahin

    wo kaun si subhen hain jin mein bedar nahin afsun tera

    wo kaun si kali raaten hain jo mere nashe mein chur nahin

    sunte hain ki kanTe se gul tak hain rah mein lakhon virane

    kahta hai magar ye azm-e-junun sahra se gulistan dur nahin

    'majruh' uThi hai mauj-e-saba aasar liye tufanon ke

    har qatra-e-shabnam ban jae ek ju-e-rawan kuchh dur nahin

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    taqdir ka shikwa be-mani jina hi tujhe manzur nahin Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now