Thahre pani pe hath mara tha
Thahre paanī pe haath maarā thā
dostoñ ko kahāñ pukārā thā
chhoḌ aayā thā mez par chaa.e
ye judā.ī kā isti.ārā thā
ruuh detī hai ab dikhā.ī mujhe
ā.īna aag se guzārā thā
merī āñkhoñ meñ aa ke raakh huā
jaane kis des kā sitārā thā
vo to sadiyoñ se merī ruuh meñ thā
aks patthar se jo ubhārā thā
zindagī aur kuchh na thī 'tauqīr'
tifl ke haath meñ ġhubāra thā
Thahre pani pe hath mara tha
doston ko kahan pukara tha
chhoD aaya tha mez par chae
ye judai ka istiara tha
ruh deti hai ab dikhai mujhe
aaina aag se guzara tha
meri aankhon mein aa ke rakh hua
jaane kis des ka sitara tha
wo to sadiyon se meri ruh mein tha
aks patthar se jo ubhaara tha
zindagi aur kuchh na thi 'tauqir'
tifl ke hath mein ghubara tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.