thoDi si is taraf bhi nazar honi chahiye
thoḌī sī is taraf bhī nazar honī chāhiye
ye zindagī to mujh se basar honī chāhiye
aa.e haiñ log raat kī dahlīz phāñd kar
un ke liye naved-e-sahar honī chāhiye
is darja pārsā.ī se ghaTne lagā hai dam
maiñ huuñ bashar ḳhatā-e-bashar honī chāhiye
vo jāntā nahīñ to batānā fuzūl hai
us ko mire ġhamoñ kī ḳhabar honī chāhiye
thoDi si is taraf bhi nazar honi chahiye
ye zindagi to mujh se basar honi chahiye
aae hain log raat ki dahliz phand kar
un ke liye nawed-e-sahar honi chahiye
is darja parsai se ghaTne laga hai dam
main hun bashar KHata-e-bashar honi chahiye
wo jaanta nahin to batana fuzul hai
us ko mere ghamon ki KHabar honi chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.