aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tilism-zar-e-shab-e-mah mein guzar jae

Aitbar Sajid

tilism-zar-e-shab-e-mah mein guzar jae

Aitbar Sajid

MORE BYAitbar Sajid

    tilism-zār-e-shab-e-māh meñ guzar jaa.e

    ab itnī raat ga.e kaun apne ghar jaa.e

    ajab nasha hai tire qurb meñ ki chāhe

    ye zindagī tirī āġhosh meñ guzar jaa.e

    maiñ tere jism meñ kuchh is tarah samā jā.ūñ

    ki terā lams mirī ruuh meñ utar jaa.e

    misāl-e-barg-e-ḳhizāñ hai havā zad pe ye dil

    na jaane shāḳh se bichhḌe to phir kidhar jaa.e

    maiñ yuuñ udaas huuñ imshab ki jaise rañg-e-gulāb

    ḳhizāñ chaap se be-sāḳhta utar jaa.e

    havā-e-shām-e-judā.ī hai aur ġham lāhaq

    na jaane jism dīvār kab bikhar jaa.e

    agar na shab safar ho tire husūl shart

    faroġh-e-mahr tirā e'tibār mar jaa.e

    tilism-zar-e-shab-e-mah mein guzar jae

    ab itni raat gae kaun apne ghar jae

    ajab nasha hai tere qurb mein ki ji chahe

    ye zindagi teri aaghosh mein guzar jae

    main tere jism mein kuchh is tarah sama jaun

    ki tera lams meri ruh mein utar jae

    misal-e-barg-e-KHizan hai hawa ki zad pe ye dil

    na jaane shaKH se bichhDe to phir kidhar jae

    main yun udas hun imshab ki jaise rang-e-gulab

    KHizan ki chap se be-saKHta utar jae

    hawa-e-sham-e-judai hai aur gham lahaq

    na jaane jism ki diwar kab bikhar jae

    agar na shab ka safar ho tere husul ki shart

    farogh-e-mahr tera e'tibar mar jae

    Source:

    meyaar (Pg. 291)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now