tera bulbul hun tujh gul ki qasam hai
tera bulbul hun tujh gul ki qasam hai
Obaidullah Khan Mubtala
MORE BYObaidullah Khan Mubtala
tirā bulbul huuñ tujh gul kī qasam hai
birah suuñ mast huuñ mul kī qasam hai
raqīb-e-rū-siyah khāvegā ab maar
mujhe tujh kaale kākul kī qasam hai
liye dil phirte haiñ daur zulaf meñ
mujhe us ke tasalsul kī qasam hai
na kar tuuñ bul-havas uupar talattuf
tire dil ke tāmmul kī qasam hai
ḳhudā āḳhir karegā ḳhush mirā dil
mujhe apne tavakkul kī qasam hai
nahīñ hotā huuñ milne señ kabhī ser
tire man ke tafazzul kī qasam hai
na rah ġhāfil tuuñ apne 'mubtalā' suuñ
tujhe tere taġhāful kī qasam hai
tera bulbul hun tujh gul ki qasam hai
birah sun mast hun mul ki qasam hai
raqib-e-ru-siyah khawega ab mar
mujhe tujh kale kakul ki qasam hai
liye dil phirte hain daur zulaf mein
mujhe us ke tasalsul ki qasam hai
na kar tun bul-hawas upar talattuf
tere dil ke tammul ki qasam hai
KHuda aaKHir karega KHush mera dil
mujhe apne tawakkul ki qasam hai
nahin hota hun milne sen kabhi ser
tere man ke tafazzul ki qasam hai
na rah ghafil tun apne 'mubtala' sun
tujhe tere taghaful ki qasam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.