Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhse gile karun tujhe jaanan manaun main

Jaun Eliya

tujhse gile karun tujhe jaanan manaun main

Jaun Eliya

MORE BYJaun Eliya

    tujh se gile karūñ tujhe jānāñ manā.ūñ maiñ

    ik baar apne-āp meñ aa.uuñ to aa.uuñ maiñ

    dil se sitam be-sar-o-kārī havā ko hai

    vo gard uḌ rahī hai ki ḳhud ko gañvā.ūñ maiñ

    vo naam huuñ ki jis pe nadāmat bhī ab nahīñ

    vo kaam haiñ ki apnī judā.ī kamā.ūñ maiñ

    kyūñkar ho apne ḳhvāb āñkhoñ meñ vāpsī

    kis taur apne dil ke zamānoñ meñ jā.ūñ maiñ

    ik rañg kamān ho ḳhushbū ek tiir

    marham vārdāt ho aur zaḳhm khā.ūñ maiñ

    shikva ik darīcha ho nashsha ik sukūt

    ho shaam ik sharāb aur laḌkhaḌā.ūñ maiñ

    phir us galī se apnā guzar chāhtā hai dil

    ab us galī ko kaun bastī se lā.ūñ maiñ

    tujh se gile karun tujhe jaanan manaun main

    ek bar apne-ap mein aaun to aaun main

    dil se sitam ki be-sar-o-kari hawa ko hai

    wo gard uD rahi hai ki KHud ko ganwaun main

    wo nam hun ki jis pe nadamat bhi ab nahin

    wo kaam hain ki apni judai kamaun main

    kyunkar ho apne KHwab ki aankhon mein wapsi

    kis taur apne dil ke zamanon mein jaun main

    ek rang si kaman ho KHushbu sa ek tir

    marham si wardat ho aur zaKHm khaun main

    shikwa sa ek daricha ho nashsha sa ek sukut

    ho sham ek sharab si aur laDkhaDaun main

    phir us gali se apna guzar chahta hai dil

    ab us gali ko kaun si basti se laun main

    Source:

    gumaan (Pg. 168)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now