tumhaare qasr-e-azadi ke memaron ne kya paya
tumhāre qasr-e-āzādī ke me'māroñ ne kyā paayā
jahāñ-bāzoñ kī ban aa.ī jahāñ-kāroñ ne kyā paayā
sitāroñ se shab-e-ġham kā to dāman jagmagā uTThā
magar aañsū bahā kar hijr ke māroñ ne kyā paayā
naqīb-e-ahd-e-zarrīñ sirf itnā mujh ko batlā de
tulū-e-sub.h-e-nau bar-haq magar tāroñ ne kyā paayā
junūñ kī baat chhoḌo is ga.e ghar kā Thikānā kyā
fareb-e-'aql o hikmat ke parastāroñ ne kyā paayā
sar-afrāzī milī ahl-e-havas kī pārsā.ī ko
magar terī mohabbat ke gunahgāroñ ne kyā paayā
khilaune de diye kuchh aap ne dast-e-tamannā meñ
ba-juz dāġh-e-jigar ā.īna-bardāroñ ne kyā paayā
milī sar phoḌte hī qaid-e-hastī se bhī āzādī
rukāvaT Daal kar zindāñ kī dīvāroñ ne kyā paayā
hamāre sāmne hī baiTh kar 'fārūq' masnad par
hamīñ se pūchhte ho phir ki ġhaddāroñ ne kyā paayā
tumhaare qasr-e-azadi ke me'maron ne kya paya
jahan-bazon ki ban aai jahan-karon ne kya paya
sitaron se shab-e-gham ka to daman jagmaga uTTha
magar aansu baha kar hijr ke maron ne kya paya
naqib-e-ahd-e-zarrin sirf itna mujh ko batla de
tulu-e-subh-e-nau bar-haq magar taron ne kya paya
junun ki baat chhoDo is gae ghar ka Thikana kya
fareb-e-'aql o hikmat ke parastaron ne kya paya
sar-afraazi mili ahl-e-hawas ki parsai ko
magar teri mohabbat ke gunahgaron ne kya paya
khilaune de diye kuchh aap ne dast-e-tamanna mein
ba-juz dagh-e-jigar aaina-bardaron ne kya paya
mili sar phoDte hi qaid-e-hasti se bhi aazadi
rukawaT Dal kar zindan ki diwaron ne kya paya
hamare samne hi baiTh kar 'faruq' masnad par
hamin se puchhte ho phir ki ghaddaron ne kya paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.